tu faqat kahani sun hichkiyon ko bhul ja ashk-bar log gin taliyon ko bhul ja mausamon ne kya kiya ye kahani chhod de barishon ko bhul ja paniyon ko bhul ja ab zaban mein aa gain luknaten rukawaten meri guftugu ki tu narmiyon ko bhul ja zindagi hai mukhtasar har inad chhod de khubiyon ko yaad rakh khamiyon ko bhul ja ye chaman tera chaman phul tere phul hain khud hi dekh-bhaal kar maliyon ko bhul ja bhul ja wo din ki nind raat ka wo jagna jugnuon ko bhul ja titliyon ko bhul ja wo hamare bachpane ki kahani thi faqat shah-zade bhul ja raniyon ko bhul ja jis mein jitna zarf tha us ne wo dikha diya meri baat man ja talkhiyon ko bhul ja 'danish'-e-shikasta-pa ab to waizon ki sun mahfilon ko bhul ja saqiyon ko bhul ja