tu khud bhi nahin aur tera sani nahin milta paigham tera teri zabani nahin milta main bich samundar mein hun aur pyas se betab pine ko to ek bund bhi pani nahin milta duniya ke karishmon mein muamma to yahi hai duniya ke karishmat ka bani nahin milta mera bhi to ek dost tha gham bantne wala ab dasht-e-bala mein wahi jaani nahin milta jo marta hai ji uthta hai wo rup badal kar mujh ko to yahan koi bhi fani nahin milta shahkar si taswir meri koi banata bahzad mayassar nahin mani nahin milta kabe ke kisi goshe mein mil jaega shayad but-khane mein firdaus-makani nahin milta uslub purane hain to alfaz hain be-rang nadir sa 'zafar' tarz-e-lisani nahin milta