tu ki anjaan hai is shahr ke aadab samajh

By ahmad-farazMay 23, 2024
tu ki anjaan hai is shahr ke aadab samajh
phul roe to use khanda-e-shadab samajh
kahin aa jae mayassar to muqaddar tera
warna aasudgi-e-dahr ko nayab samajh


hasrat-e-girya mein jo aag hai ashkon mein nahin
khushk aankhon ko meri chashma-e-be-ab samajh
mauj-e-dariya hi ko aawara-e-sad-shauq na kah
reg-e-sahil ko bhi lab-tishna-e-sailab samajh


ye bhi wa hai kisi manus kiran ki khatir
rauzan-e-dar ko bhi ek dida-e-be-khwab samajh
ab kise sahil-e-ummid se takta hai 'faraaz'
wo jo ek kashti-e-dil thi use gharqab samajh


19594 viewsghazalEnglish