tu kisi raste ka musafir rahe teri ek ek thokar utha laungi apni bechain palkon se chun chun ke main tere raste ke patthar utha laungi main waraq pyar ka mod sakti nahin zindagi main tujhe chhod sakti nahin tu agar mere ghar tak nahin aaega main tere pas hi ghar utha laungi aansuon ka ye mausam chala jaega mere lab par tabassum bhi aa jaega mujh ko dil ki zamin se tum aawaz do aasman apne sar pe utha laungi mere har khwab ki tu hi tabir hai tu hi mere khayalon ki taswir hai teri aankhon se dekhungi main zindagi teri palkon se manzar utha laungi ye zamana hai sahra-sifat ham-nashin chand qatre bhi is se na mil paenge dekh tu mujh se kah kar kisi roz to teri khatir samundar utha laungi tere mathe ki ek ek shikan ki qasam main ayaadat ko rasman nahin aai hun mere bimar teri dawa ke liye apna ek ek zewar utha laungi