tu masiha hai teri ek ada kafi hai

By mustafa-dilkashJanuary 21, 2022
tu masiha hai teri ek ada kafi hai
jaan-ba-lab ko tere daman ki hawa kafi hai
jab bhi yaad aaun tasawwur mein tasawwur karna
mujh se milne ke liye itna pata kafi hai


meri nazron ki khata kam hai tere sar ki qasam
mere dilbar tere jalwon ki khata kafi hai
teri furqat ne jawani ka maza chhin liya
chahne wale ko bas itni saza kafi hai


kaam aate nahin ta-umr ye mitti ke charagh
aap ki yaad ka bas ek diya kafi hai
sari duniya ki duaen main kahan rakkhunga
meri bakhshish ke liye man ki dua kafi hai


phul ki tarah khile hain tere zakhmon ke gulab
aur kya chahiye 'dilkash' ye dawa kafi hai
32735 viewsghazalEnglish