tu meri khoi nishani ke siwa kuchh bhi nahin main teri yaad-dahani ke siwa kuchh bhi nahin band kamron mein makin sote hain aur aangan mein mere aur raat ki rani ke siwa kuchh bhi nahin ye tujhe ek nazar dekhne walon ka hujum meri na-pukhta-bayani ke siwa kuchh bhi nahin jo utarta hai wo bahta hi chala jata hai goya dariya mein rawani ke siwa kuchh bhi nahin jitne chehre hain wo mitti ke banae hue hain jitni aankhen hain wo pani ke siwa kuchh bhi nahin