tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega dur tak tanhaiyon ka silsila rah jaega kijiye kya guftugu kya un se mil kar sochiye dil-shikasta khwahishon ka zaiqa rah jaega dard ki sari tahen aur sare guzre hadse sab dhuan ho jaenge ek waqia rah jaega ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar yun bhi hoga khud usi mein ek khala rah jaega daere inkar ke iqrar ki sargoshiyan ye agar tute kabhi to fasla rah jaega