tu ne hi har qadam pe diya hausla mujhe yarab nahin hai tere siwa aasra mujhe ek bar us ne kah to diya dilruba mujhe takta raha main aaine ko aaina mujhe jin ke liye sanad thi meri baat kal talak dene lage hain aaj wahi mashwara mujhe college mein is liye bhi to jata raha ki wo ai kash ek nazar hi sahi dekhta mujhe naraaz apne aap se hun man ya na man tujh se shikayaten hain na koi gila mujhe har aan har khushi hai mili is ke bawajud kyon lag rahi hai zindagi meri saza mujhe hafiz mera khuda hai so kahna fuzul hai apne siwa kisi ka nahin aasra mujhe is 'ain shin qaf mein ek pal sukun nahin deta hai jaise 'rahi' koi bad-du'a mujhe