tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha

tu ne khanjar meri gardan pe na phera achchha
achchha achchha are o jaan ke lewa achchha

sair achchhi hai hujum achchha hai mela achchha
haq to ye hai ki hai duniya ka tamasha achchha

sar mera kat ke kis naz se farmate hain
kas liya hum ne ye khanjar hai hamara achchha

dard jab uthta hai mujh ko bhi utha deta hai
na-tawani ke liye hai ye sahaara achchha

phir chale ghair ki jaanib nigah-e-naz ke tir
kyon nishana wahi phir aap ne taka achchha

wah kya khub mere dil ki lagi hai qimat
kahte hain muft agar do to hai sauda achchha

ek wo lakhon kharidar badhe nirkh na kyon
aur phir nam-e-khuda mal hai kaisa achchha

subh ko lutf hai tafrih ka dariya ko chalo
waqt-e-khush sair-e-khush-aind tamasha achchha

mol lo tum mera dil khote hi damon ko sahi
mujh ko to faedon se hai ye khasara achchha

chaar-diwar-e-chaman apne liye zindan hai
hum se diwanon ko hai bagh se sahra achchha

munqabiz hai jo tabiat to chaman jangal hai
dil shagufta hai to gulzar se sahra achchha

dekh kar bagh ki diwaron ko dam ghutta hai
bulbulon ko ye mubarak hamein sahra achchha

masala thik hai ye jins ko hai jins se mail
kyon na chahe tumhein dil dil hai hamara achchha

ye hai surat ise kahte hain khuda-dad jamal
huron se hai teri taswir ka khaka achchha

dil mera lete ho qimat nahin dete mujh ko
tum sakhi kaise ho lene se hai dena achchha

ruh se badh ke tera nimcha pyara hai mujhe
rag-e-jaan se teri talwar ka dora achchha

bazm-e-hasti se uthe jo wo yahi kah ke uthe
dil laga khub yahan hai ye tamasha achchha

shaikh ho ya koi sayyad ho koi ho 'akbar'
khush rahe jis se khuda hai wahi banda achchha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close