tu ne mujhko na ghazal-goi ata ki hoti

By adnan-asarJanuary 18, 2025
tu ne mujh ko na ghazal-goi 'ata ki hoti
main bhi tanhai mein diwar se baaten karta
tujh pe hi raaz-e-tamanna ke sabhi dar khole
kya tujhe chhod ke aghyar se baaten karta


'ain mumkin tha ki andar ki ghutan ghat jati
koi hota tere bimar se baaten karta
rang bharna tha kahani mein haqiqat ka tujhe
apne likkhe hue kirdar se baaten karta


meri ghairat ye gawara nahin karti hai ki main
apne hi mulk ke ghaddar se baaten karta
77244 viewsghazalEnglish