tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye ye hua karte hain zahir aazmane ke liye tundi-e-baad-e-mukhalif se na ghabra ai uqab ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye kaamyabi ki hua karti hai nakaami dalil ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye charkh-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam bijliyan shahid hain khirman ko jalane ke liye nim-jaan hai kis liye haal-e-khilafat dekh kar dhund le koi dawa is ko bachane ke liye chain se rahne na de in ko na khud aaram kar mustaid hain jo khilafat ko mitane ke liye dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baithe rahen hum uthenge apni qismat ko banane ke liye