tufan-e-bala se jo main bach kar guzar aaya wo puchh ke sahra se pata mere ghar aaya aaghaz-e-tamanna ho ki anjam-e-tamanna ilzam bahr-e-haal hamare hi sar aaya is mein to koi dil ki khata ho nahin sakti jab aankh lagi aap ka chehra nazar aaya basti mein meri kaj-kalhi jurm hui hai dekhunga agar ab koi patthar idhar aaya aaya teri mahfil mein jo bhule se mera nam aaankhon mein zamane ki wahin khun utar aaya aisa bhi kahin tark-e-talluq mein hua hai nama koi aaya na koi nama-bar aaya fan hai wo samundar ki kinara nahin jis ka duba hun 'muzaffar' to mera nam ubhar aaya