tujh pe donon nisar hain qatil

By dr.-nareshOctober 29, 2020
tujh pe donon nisar hain qatil
jaan-e-muztar ho ya dil-e-bismil
qahr hai qahr-e-ishq ki manzil
har qadam aag hai nai mushkil


ho gae dekh kar wo aaina
apni surat pe aap hi mail
gham se aazad kar diya hum ko
kyon na pir-e-mughan ke hon qail


kis qadar dil-kusha faza hogi
aap jab honge zinat-e-mahfil
aadamiyat ko naz tha jin par
ab wo dana rahe na wo aaqil


chaara-sazi mariz-e-ulfat ki
aap ke waste nahin mushkil
aarzuon mein mach gai halchal
kaun ye yaad aa gaya ai dil


tu ubhaare jo hum ko pasti se
tujh ko yarab nahin koi mushkil
hae jo baat bhi kahi main ne
zer-e-lab tu ne kah diya mohmil


kya bharosa karen kisi pe 'naresh'
aadmi aadmi ka hai qatil
71077 viewsghazalEnglish