tujh sa milega man na koi mo'atabar mujhe rahne de zer-e-pa tu yun hi umr bhar mujhe mujh ko guzarti rahi mazi ki rahguzar hasrat se dekhta raha mitti ka ghar mujhe meri sadaen barsar-e-mahfil na jab rahin duniya ne tanha chhod diya khak par mujhe ek sher jaane kis ke tasawwur mein kah diya barson pukarta raha mera hunar mujhe 'hassan' qatl-o-khun ke manzar pe kya likhun har sar dikhai deta hai apna hi sar mujhe