tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte

By mazhar-imamNovember 5, 2020
tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte
kahin charagh jalate kahin dhuan karte
kai the jalwa-e-nayab tujh se pahle bhi
kis aasre pe tera naqsh jawedan karte


safina dub raha tha to kyun na yaad aaya
teri talab tere arman ko baadban karte
mohabbaten bhi teri hain shikayaten bhi teri
yaqin tujh pe na hota to kyun guman karte


hawa thi tez jalate rahe dilon mein charagh
kati hai umr lahu apna raegan karte
wo be-jhahat ka safar tha sawad-e-sham na subh
kahan pe rukte kahan yaad-e-raftagan karte


dayar-e-khwab mein thahre hisar-e-gul mein rahe
magar ye gham hi raha khud ko shadman karte
41376 viewsghazalEnglish