tujhe dekhne ko tarasti hain aankhen na dekhen tujhe to barasti hain aankhen hasinon ki mahfil mein baithe ho tum bhi na jaane kahan ab thaharti hain aankhen ye aansu nahin ye wafa ke hain moti inhin se hamari nikharti hain aankhen karegi zaban dil ki kya tarjumani sabhi dil ki baaten to karti hain aankhen in aankhon ko kya husn bakhshega kajal tujhe dekh kar ye sanwarti hain aankhen jhalak jab se 'saghar' ne dekhi hai teri usi din se tujh pe ye marti hain aankhen