tujhe DhunDhta hun samundar kinare

By tuaqeer-chughtaiMarch 1, 2024
tujhe dhundhta hun samundar kinare
main jab baithta hun samundar kinare
wo dariya girega yahin par kisi din
khada sochta hun samundar kinare


samundar ke us par basta hai koi
jabhi ghumta hun samundar kinare
samundar baghal-gir hota hai mujh se
main jab nachta hun samundar kinare


sunata hun qissa use dubne ka
jise dekhta hun samundar kinare
samundar ki tah khwab 'tauqir' mera
magar tairta hun samundar kinare


48349 viewsghazalEnglish