tujhe dil se utara hi nahin tha ki tere bin guzara hi nahin tha hamein bhi zindagi mushkil lagi thi ye aalam bas tumhaara hi nahin tha palat ke aa bhi sakta tha wo lekin use hum ne pukara hi nahin tha tere lahje mein tabdili che mani teri jaanib ishaara hi nahin tha use ilzam dharna tha kisi par ki koi aur chaara hi nahin tha ye sadma yun bhi mushkil hai ki pahle kabhi main khud se haara hi nahin tha kate hain wo bhi lamhe zindagi se jinhen hum ne guzara hi nahin tha bahut aasan ho sakti thin rahen hamein chalna gawara hi nahin tha mohabbat par ye waqt aana tha 'anwar' koi sadqa utara hi nahin tha