tujhe KHabar nahin ai bewafa hazaron ne
By zeeshan-kavishMarch 1, 2024
tujhe khabar nahin ai bewafa hazaron ne
hayat kat di ro-ro ke gham ke maron ne
khizan ko kis liye ilzam dun batao zara
mere chaman ko jalaya hai jab bahaaron ne
milun main chand se apne to kis tarah se milun
falak ko gher liya hai kai sitaron ne
hamare mulk ki 'azmat ko bech dala hai
hamare mulk ke kuchh jhute tajdaron ne
jidhar bhi dekhun mujhe tu dikhai deta hai
bana ke rakh diya pagal tere ishaaron ne
hamare qatl ka koi subut mil na saka
kuchh aise qatl kiya hum ko hoshiyaron ne

49698 viewsghazal • English