tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas
By sajid-raheemFebruary 28, 2024
tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas
use hai paisa kamati hui machine ki bas
qarib lae wo lab ashk mere pine ko
dakait lutne aae hain zaerin ki bus
jab apne ganw mein utrun to sham utri ho
main sari 'umr pakadta raha hun tin ki bus
har ek shakhs hai aazad koi jabr nahin
ye ek baat bhi kafi hai mere din ki bas
main apne kaam usi ke sipurd karta hun
mujhe khuda se tawaqqo' hai behtarin ki bas
hamein ye wahm tha aise hi 'umr sanwregi
shikan sanwari hai hum ne teri jabin ki bas
ye log sakht haqiqat-pasand hote hain
sununga baat mohabbat ke munkirin ki bas
use main apni wafa ka subut kya deta
ye sari baat to hoti nahin yaqin ki bas
tamasha-gah ki raunaq usi ke dam se hai
suni gai hai hamesha tamashbin ki bas
dil ek ghar tha ise maqbara banaya gaya
ye aarzu thi kisi aakhiri makin ki bas

12856 viewsghazal • English