tujh ko aawaz se samjhun ki bayan se dekhun mo'atabar kya hai bata tujh ko kahan se dekhun aab-dida hun main khud zakhm-e-jigar se apne teri aankhon mein chhupa dard kahan se dekhun is khuli aankh pe khulte nahin asrar tere tu chhupa hai to tujhe chashm-e-nihan se dekhun main ne chaha tha sanam ban ke tu aankhon mein rahe tu ne chaha main tujhe chashm-e-butan se dekhun har taraf tir baraste hain nishana main hun laut aati hai nazar khud pe jahan se dekhun is tarah dil mein utar ja na rahe kuchh baqi tu hi tu ho meri nazron mein jahan se dekhun