tujhko malum nahin kya mere gham-KHwar rakhi
By samar-khanabadoshFebruary 29, 2024
tujh ko ma'lum nahin kya mere gham-khwar rakhi
ek 'arzi dar-e-ulfat pe kai bar rakhi
tujh se milne ki tamanna thi magar kya karta
waqt ne bich mein barud ki diwar rakhi
sar nigun tha ki koi dekh ke aawaz na de
'ishq ne aa ke mere sar pe hi dastar rakhi
saj rahi thi pas-e-takhil koi shokh ghazal
hum ne kaghaz pe tere nam ki takrar rakhi
nam bhi hona nahin dariya se guzar jaana bhi
tu ne ye shart bhi kya soch ke ai yar rakhi
wajh-e-ruswai na ban jae 'adawat kal phir
us ne ghusse ko piya hum ne bhi talwar rakhi
hum ne us shakh-e-tamanna pe numu paya hai
jis ne har rut mein kahani koi tayyar rakhi
izn tha khana-ba-doshon ko bhi goyai ka
hum bhi mahfil mein uthe khwahish-e-guftar rakhi

20551 viewsghazal • English