tujh se badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta par tera sath gawara bhi nahin ho sakta panw rakhte hain phisal sakta hai mitti ho ki ret har kinara to kinara bhi nahin ho sakta us tak aawaz pahunchni bhi badi mushkil hai aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho sakta tere bandon ki maishat ka ajab haal hua aish kaisa ki guzara bhi nahin ho sakta apna dushman bhi dikhai nahin deta ho jise aisa lashkar to saf-ara bhi nahin ho sakta husn aisa ki chaka-chaund hui hain aankhen hairat aisi ki nazara bhi nahin hain aankhen waise wo shakhs hamara to kabhi tha hi nahin dukh to ye hai ki tumhaara bhi nahin ho sakta duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'salim' aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta