tujhse baDh kar koi pyara bhi nahin ho sakta

tujh se badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta
par tera sath gawara bhi nahin ho sakta

rasta bhi ghalat ho sakta hai manzil bhi ghalat
har sitara to sitara bhi nahin ho sakta

panw rakhte hi phisal sakta hai mitti ho ki ret
har kinara to kinara bhi nahin ho sakta

us tak aawaz pahunchni bhi badi mushkil hai
aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho sakta

tere bandon ki maishat ka ajab haal hua
aish kaisa ki guzara bhi nahin ho sakta

apna dushman hi dikhai nahin deta ho jise
aisa lashkar to saf-ara bhi nahin ho sakta

pahle hi lazzat-e-inkar se waqif nahin jo
us se inkar dobara bhi nahin ho sakta

husn aisa ki chaka-chaund hui hain aankhen
hairat aisi ki nazzara bhi nahin ho sakta

chaliye wo shakhs hamara to kabhi tha hi nahin
dukh to ye hai ki tumhaara bhi nahin ho sakta

duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'salim'
aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close