tujh se wabasta hun nashad nahin ho sakta tere hote hue barbaad nahin ho sakta surkh-rui mere hissa mein junun se aai ab koi dusra farhad nahin ho sakta par katarta hai na zindan ki saza deta hai qaid mein jis ki hun sayyaad nahin ho sakta pichhle asbaq jo azbar the unhen bhul gaya ab naya koi sabaq yaad nahin ho sakta yahi behtar hai ki bujh jae sar-e-sham charagh dil-e-nashad agar shad nahin ho sakta ye makan us ka hi hai kaun-o-makan jis ke hain kya kharaba kabhi aabaad nahin ho sakta