tukde nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch surkhab baithe pani mein hain mil ke chaar panch munh khole hain ye zakhm jo bismil ke chaar panch phir lenge bose khanjar-e-qatil ke chaar panch kahne hain matlab un se hamein dil ke chaar panch kya kahiye ek munh hain wahan mil ke chaar panch dariya mein gir pada jo mera ashk ek garm but-khane lab pe ho gae sahil ke chaar panch do-chaar lashe ab bhi pade tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka nam raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch ranj o ta'ab musibat o gham yas o dard o dagh aah o fughan rafiq hain ye dil ke chaar panch do tin jhatke dun jun hi wahshat ke zor mein zindan mein tukde howen salasil ke chaar panch farhad o qais o wamiq o azra the chaar dost ab hum bhi aa mile to hue mil ke chaar panch naz o ada o ghamza nigah panja-e-mizha maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch ima hai ye ki dewenge nau din ke ba'd dil likh bheje khat mein sher jo be-dil ke chaar panch hire ke nau-ratan nahin tere hue hain jam' ye chandni ke phul magar khil ke chaar panch mina-e-nuh-falak hai kahan baada-e-nashat shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch nakhun karen hain zakhmon ko do do mila ke ek the aath das so ho gae ab chhil ke chaar panch gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye niklen ziyaada dagh mere dil ke chaar panch maren jo sar pe sil ko utha kar qalaq se hum das panch tukde sar ke hon aur sil ke chaar panch man ai 'zafar' tu panj-tan o chaar-yar ko hain sadr-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch