tum aa gae ho to phir tum se kuchh gila kya hai
By afsar-deccaniJanuary 1, 2024
tum aa gae ho to phir tum se kuchh gila kya hai
tumhaara roz ye wa'don ka silsila kya hai
khabar nahin thi ki hum ko bhi dub marna tha
tumhaare 'ishq mein itni kadi saza kya hai
tumhaari aag mein jal kar bada maza aaya
hamare dil ki ab is ke siwa dawa kya hai
wo kyon chali hai samundar mein dub marne ko
koi to rok ke puchho use hua kya hai
isi sadak se to har roz tum guzarte ho
hamin se be-rukhi itni tumhein hua kya hai
andhera ghar ka hamara nasib hai 'afsar'
hamare dil ko ujalon se wasta kya hai

83822 viewsghazal • English