tum aise paudon ne baDh kar shajar nahin hona

By haris-bilalFebruary 6, 2024
tum aise paudon ne badh kar shajar nahin hona
tumhaare sae se hatna magar nahin hona
zamin-o-asman ke apne apne masale hain
kisi taraf se bhi tum be-khabar nahin hona


safar se pahle ka kuchh waqt un ghamon ke nam
jinhon ne shamil-e-rakht-e-safar nahin hona
yahan se aage kahin ek jahan aur hai aur
mu'amla jo idhar hai udhar nahin hona


abhi se bahami ishkal dur kar lije
kabhi bhi aisi daradon ne dar nahin hona
alag hain achchhe bure wazeh taur par ya'ni
phir is jagah se hamara guzar nahin hona


khala-o-waqt ki saton jihat mein 'haaris'
wo ek lamha kisi se basar nahin hona
91280 viewsghazalEnglish