tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz

By hadi-machlishahriOctober 31, 2020
tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz
kis se kis ka gila kare koi
mane-e-arz mujh ko pas-e-wafa
un ko zid iltija kare koi


tum taghaful-shiar dil mayus
aah kya hausla kare koi
gham-e-dil ab kisi ke bas ka nahin
kya dawa kya dua kare koi


kaun sunta hai gham-nasibon ki
kis ke dar par sada kare koi
khair sun lo mera fasana-e-gham
ye to kah doge kya kare koi


sakht mushkil hai sharh-e-dard-e-nihan
kis tarah ibtida kare koi
jis ko dekho wo hai wafa-dushman
kis se ahd-e-wafa kare koi


khatm jaur-o-jafa hai marg-e-wafa
kash phir ibtida kare koi
lutf-e-tazir jab ho jaan-e-hayat
kyun na 'hadi' khata kare koi


91504 viewsghazalEnglish