tum bhi ruThi raho ye gawara nahin

By aatish-muradabadiSeptember 8, 2024
tum bhi ruthi raho ye gawara nahin
hai zamane mein koi hamara nahin
'aks jis mein ho shamil tumhaara nahin
hai sanam wo nazara nazara nahin


tis dil mein uthi tum ko aawaz di
main ne ab tak kisi ko pukara nahin
ab bhala tum se kaise karen iltija
jab tumhein hum ne dil mein utara nahin


'ishq mein dub kar koi ubhra kahan
dubte ko kisi ka sahaara nahin
manta hun ki ye dard-o-gham hai mera
dosh koi bhi is mein tumhaara nahin


main sunaun ghazal kaise 'atish' bhala
nam fehrist mein jab hamara nahin
72019 viewsghazalEnglish