tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai

By kaleem-aajizJune 24, 2022
tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai
hum se thi sab bahaar abhi kal ki baat hai
begana samjho ghair kaho ajnabi kaho
apnon mein tha shumar abhi kal ki baat hai


aaj apne pas se hamein rakhte ho dur dur
hum bin na tha qarar abhi kal ki baat hai
itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba
daman tha tar tar abhi kal ki baat hai


aaj is qadar ghurur ye andaz ye mizaj
phirte the 'mir' khwar abhi kal ki baat hai
anjaan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat
kal ki hai baat yar abhi kal ki baat hai


31865 viewsghazalEnglish