tum hamare qarib aane ko

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
tum hamare qarib aane ko
karte rahte ho khush zamane ko
us ke kuche ka farsh pakka hai
hath malta hun khak udane ko


chalna phirna koi zaruri nahin
us ki mahfil mein aane jaane ko
jab ki main ne samajhna chhod diya
wo tula hai samajh mein aane ko


use kaise bhulae koi jise
yaad karna pade bhulane ko
tum to sab kuchh batae dete ho
kuchh bacha kar rakho chhupane ko


us ne kuchh der sun liya warna
kaun sunta mere fasane ko
teri maujudgi mein kam se kam
ji to karta hai muskurane ko


87195 viewsghazalEnglish