tum intizar ke lamhe shumar mat karna diye jalae na rakhna singar mat karna meri zaban ke mausam badalte rahte hain main aadmi hun mera e'tibar mat karna kiran se bhi hai ziyaada zara meri raftar nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna tumhein khabar hai ki taqat mera wasila hai tum apne aap ko be-ikhtiyar mat karna tumhaare sath mere mukhtalif marasim hain meri wafa pe kabhi inhisar mat karna tumhein bataun ye duniya gharaz ki duniya hai khulus dil mein agar hai to pyar mat karna milenge rah mein 'asim' ko ham-safar kai aur wo aa raha hai magar intizar mat karna