tum KHud hi mohabbat ki har ek baat bhula do

By haneef-akhgarOctober 31, 2020
tum khud hi mohabbat ki har ek baat bhula do
phir khud hi mujhe tark-e-mohabbat ki saza do
himmat hai to phir sara samundar hai tumhaara
sahil pe pahunch jao to kashti ko jala do


iqrar-e-mohabbat hai na inkar-e-mohabbat
tum chahte kya ho hamein itna to bata do
khul jae na aankhon se kahin raaz-e-mohabbat
achchha hai ki tum khud mujhe mahfil se utha do


sachchai to khud chehre pe ho jati hai tahrir
dawe jo karen log to aaina dikha do
insan ko insan se taklif hai 'akhgar'
insan ko tajdid-e-mohabbat ki dua do


78145 viewsghazalEnglish