tum koi is se tawaqqo na lagana mare dost ye zamana hai zamana hai zamana mere dost samne to ho tasawwur mein kahani koi ek haqiqat se bada ek fasana mere dost mere bete main tumhein dost samajhne laga hun tum bade ho ke mujhe duniya dikhana mere dost dekh sakta bhi nahin mujh ko zarurat bhi nahin meri taswir magar us ko dikhana mere dost kahne wale ne kaha dekh ke chehra mera gham-e-khazana hai ise sab se chhupana mere dost teri mahfil ke liye bais-e-barkat hoga na-muradan-e-mohabbat ko bulana mere dost tum ko malum to hai mujh pe jo guzri 'taimur' puchh kar mujh se zaruri hai rulana mere dost