tum mere dil mein raho hasrat-o-arman ho kar

By mahmood-abdul-qadeerJanuary 18, 2022
tum mere dil mein raho hasrat-o-arman ho kar
khana-e-dil na mite khana-e-viran ho kar
mah-o-anjum rukh-e-pur-nur pe qurban ho kar
chah mein teri rahe chah-e-zanakhdan ho kar


haq ne mahbub ko dekha to kaha ye hans ke
meri taswir bane baithe ho insan ho kar
sath rahne se mohabbat bhi to ho jati hai
kyon kahin jae hamari shab-e-hijran ho kar


tu wo taswir hai taswir teri khinch na saki
jal uthe lauh-o-qalam sarw-e-charaghan ho kar
did ka shauq hai jis ko wo nazara kar le
samne baithe hain wo sarw-e-charaghan ho kar


donon aalam hain teri barq-e-nazar se ghayal
tir ban kar kahin chamki kahin paikan ho kar
lazzat-e-gardish-o-afat-e-musalsal mat puchh
jab maraz had se badha rah gaya darman ho kar


sher kah kar bhi main gumnam abhi tak hun 'qadir'
yahi misra mera rah jaega diwan ho kar
51002 viewsghazalEnglish