tum muztarib nahin mere haal-e-tabah se
By maikash-akbarabadiSeptember 4, 2022
tum muztarib nahin mere haal-e-tabah se
dekho zara nigah mila kar nigah se
dekha to hoga tum ne hamara maqam bhi
guzre kabhi to hoge mohabbat ki rah se
bazm-e-jahan mein koi tajalli-e-dil-nawaz
bach kar kabhi gai na hamari nigah se
qaem hai ye jahan teri ismat hi se magar
raunaq jahan ki hai mere zauq-e-gunah se
wo dil rahin-e-kashmakash-e-iztirab-o-kaif
wo uzr-e-be-rukhi nigah-e-gah-gah se
sab kuchh hai aur kuchh nahin ai dad-khwah-e-ishq
wo dekh kar na dekhna nichi nigah se

87409 viewsghazal • English