tum nahin samjhe kabhi inki zaban
By kirti-ratan-singhNovember 5, 2020
tum nahin samjhe kabhi in ki zaban
daman-e-gul mangti hain titliyan
aaj bhi aurat ke hisse aag hai
kitni bhi be-shak hon us pe degreeyan
puchh baithe the tumhin kal rok kar
warna kyun hum kholte apni zaban
kar le khidmat ab to tu man bap ki
aur bas kuchh roz hain ye jism-o-jaan
tum bhale kitna bhi us ko kos lo
mamta mein man na khole hai zaban
ho sakega dard sar ka kam tabhi
god mein rakh kar jo man de thapkiyan
is 'ratan' ne ji liye kitne bharam
aap is ka zikr hi chhodo miyan
daman-e-gul mangti hain titliyan
aaj bhi aurat ke hisse aag hai
kitni bhi be-shak hon us pe degreeyan
puchh baithe the tumhin kal rok kar
warna kyun hum kholte apni zaban
kar le khidmat ab to tu man bap ki
aur bas kuchh roz hain ye jism-o-jaan
tum bhale kitna bhi us ko kos lo
mamta mein man na khole hai zaban
ho sakega dard sar ka kam tabhi
god mein rakh kar jo man de thapkiyan
is 'ratan' ne ji liye kitne bharam
aap is ka zikr hi chhodo miyan
95110 viewsghazal • English