tum se aata nahin juda hona

By aisha-ayyubOctober 23, 2020
tum se aata nahin juda hona
tum meri aakhiri saza hona
jis ko tum roz dikh hi jate ho
us ki qismat hai aaina hona


us ke hone ki ye gawahi hai
in darakhton ka yun hara hona
kitna mushkil hai bachpana ab to
kitna aasan tha bada hona


main to hal hun kisi ki mushkil ka
mujh ko aaya na masala hona
34179 viewsghazalEnglish