tum se bhi baatchit ho dil se bhi guftugu rahe

By ishrat-afreenNovember 1, 2020
tum se bhi baatchit ho dil se bhi guftugu rahe
khwab o khabar ka silsila yunhi kabhu kabhu rahe
dard bhi hath tham le zakhm bhi bolne lagen
yani nihaal-e-shakh-e-gham aise hi ba-numu rahe


ishq mein ehtiyat hi goya hai pas-e-waz-e-ishq
chaak hon sad-hazar aur daman-e-dil rafu rahe
tu jo nahin to main nahin main jo nahin to tu kahan
donon tarah thi baat ek main rahun ya ki tu rahe


aur mata-e-jaan-o-dil kuchh bhi na mujh ko chahiye
sine mein ek charagh sa aankh mein ek lahu rahe
ek charagh hans pada taq mein ehtiyat se
aur hawa sahm gai phul ki aabru rahe


ek lakir ro padi donon hatheliyon ke bich
rang-e-hina chhupa gaya hath lahu lahu rahe
80326 viewsghazalEnglish