tum se pahle wo jo ek shakhs yahan takht-nashin tha us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha koi thahra ho jo logon ke muqabil to batao wo kahan hain ki jinhen naz bahut apne tain tha aaj soe hain tah-e-khak na jaane yahan kitne koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha ab wo phirte hain isi shahr mein tanha liye dil ko ek zamane mein mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha chhodna ghar ka hamein yaad hai 'jalib' nahin bhule tha watan zehn mein apne koi zindan to nahin tha
Please share if you liked this!!!