tum tak aa bhi na sakun tumko bula bhi na sakun
By agha-shayar-qazalbashJanuary 1, 2024
tum tak aa bhi na sakun tum ko bula bhi na sakun
ye to kuchh aisi dhari hai ki utha bhi na sakun
naqsh-e-hasti mera dam-bhar mein fana hota hai
teri hasrat to nahin hai ki mita bhi na sakun
mithi mithi wo khalish di hai tere tiron ne
dil mein rakh bhi na sakun jaan se ja bhi na sakun
main khatakta hi raha karta hun aghyaron ko
tum sa nazuk hun jo nazron mein sama bhi na sakun
halki halki wo pila saqi-e-mehwash mujh ko
mast rah bhi na sakun hosh mein aa bhi na sakun
tum ko iksir mubarak rahe daulat-mando
main wo hun khak jo nazron mein sama bhi na sakun
safha-e-dahr se kis tarh mite girya-e-khun
harf-e-nam hai ki jo kaghaz se utha bhi na sakun
shikwa-e-zulm bhi is darja giran hai 'sha'ir'
raaz ki tarh zaban tak jise la bhi na sakun

64475 viewsghazal • English