tumhaara aise ghar jaana bahut taklif deta hai
By abdullah-minhaj-khanMay 18, 2024
tumhaara aise ghar jaana bahut taklif deta hai
ladai hum se kar jaana bahut taklif deta hai
bazahir 'ishq ka izhaar kar to leti hai lekin
magar us ka mukar jaana bahut taklif deta hai
wo jis ne mujh ko har ek mod pe aakar sanbhaala hai
ab us ka yun bikhar jaana bahut taklif deta hai
bulandi se utar kar koi bhi marta nahin lekin
nigahon se utar jaana bahut taklif deta hai
jahan se chal ke milon aa gae hain su-e-manzil hum
palat kar phir udhar jaana bahut taklif deta hai
kisi se 'ishq mein 'minhaj' dushwari nahin lekin
magar had se guzar jaana bahut taklif deta hai

24243 viewsghazal • English