tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho main dil kisi se laga lun agar ijazat ho tumhaare baad bhala kya hain wada-o-paiman bas apna waqt ganwa lun agar ijazat ho tumhaare hijr ki shab-ha-e-kar mein jaanan koi charagh jala lun agar ijazat ho junun wahi hai wahi main magar hai shahr naya yahan bhi shor macha lun agar ijazat ho kise hai khwahish-e-marham-gari magar phir bhi main apne zakhm dikha lun agar ijazat ho tumhaari yaad mein jine ki aarzu hai abhi kuchh apna haal sambhaalun agar ijazat ho