tumhaare baad bhi ye taur iKHtiyar kiya

By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
tumhaare ba'd bhi ye taur ikhtiyar kiya
wafa khulus-o-mohabbat pe e'tibar kiya
hamare nam se jalte the chand diwane
hamare nam ki shohrat ne aashkar kiya


main jaanta tha ki mazi mein shor barpa hai
kuchh is liye bhi sadaon ko darkinar kiya
hum aise bakht ke mare ki shahr mein aa kar
libas-e-gardish-e-dauran bhi tar-tar kiya


ye kis umid pe daman ki dhajjiyan karke
tamam 'umr rafugar ka intizar kiya
jahan-e-shauq ne mahdud kar diya tha magar
dayar-e-she’r ne wus'at se ham-kinar kiya


15946 viewsghazalEnglish