tumhaare bare mein mujhse sawal karte hue
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
tumhaare bare mein mujh se sawal karte hue
guzar na jae ye rut bhi malal karte hue
purane zakhm kahin phir na muskura utthen
main dar raha hun ta'alluq bahaal karte hue
kisi ne raat ki sargoshiyan suni hi nahin
charagh bujh gae sab 'arz-e-haal karte hue
bata gae hain kisi ko tadap mere dil ki
fana hue hain ye aansu kamal karte hue
mujhe safar ki du'aon ke haar pahna kar
palat gaya koi aankhen nidhaal karte hue

95100 viewsghazal • English