tumhaare hijr ki muddat ghata rahi hun main ghadi mein waqt ko ulta ghuma rahi hun main kitab-e-zindagi main ne agar padhi hi nahin kyon imtihan ka parcha bana rahi hun main lagai main ne kinare par aansuon ki sabil nadi ki pyas ko pani pila rahi hun main yahi ki dil ki suni hai dimagh se pahle saza usi ki mohabbat mein pa rahi hun main suna hai aur ziyaada sitam karega tu so apne zabt ki taqat badha rahi hun main laga ke ek alag zakhm us ke pahlu mein tumhaare zakhm ko nicha dikha rahi hun main