tumhaare hone ka shayad suragh pane lage kanar-e-chashm kai khwab sar uthane lage palak jhapakne mein guzre kisi falak se hum kisi gali se guzarte hue zamane lage mera khayal tha ye silsila diyon tak hai magar ye log mere khwab bhi bujhane lage na-jaane raat tere mai-kashon ko kya sujhi subu uthate uthate falak uthane lage wo ghar kare kisi dil mein to ain mumkin hai hamari dar-badari bhi kisi thikane lage main gungunate hue ja raha tha nam tera shajar hajar bhi mere sath gungunane lage hudud-e-dasht mein aabaadiyan jo hone lagin hum apne shahr mein tanhaiyan basane lage dhuan dhanak hua angar phul bante gae tumhaare hath bhi kya moajaze dikhane lage 'raza' wo ran pada kal shab ba-razm-gah-e-junun kulahen chhod ke sab log sar bachane lage