tumhaare husn ko dad-e-jamal di main ne khila jo phul tumhaari misal di main ne kashan kashan meri manzil pe aa raha hai koi kisi ke panw mein zanjir dal di main ne na kajrawi ki shikayat na be-rukhi ka gila jo dil mein thi wo tawaqqo' nikal di main ne ajib kashmakash-e-go-mago se guzra hun chhida jo zikr tera baat tal di main ne duaen de mujhe sher-o-sukhan ke sanche mein kahan kahan teri taswir dhaal di main ne main 'bazm' soz-e-taghaful se jal bujha lekin use na zahmat-e-fikr-o-khayal di main ne