tumhaare jism ka saya pada nahin hoga dayar-e-gham mein ujala hua nahin hoga zara si baat samajhne mein ek umr lagi wo khud-parast hai wo ba-wafa nahin hoga bahut khamosh-nafas tha guzarne wala bhi so us ki maut ka shohra hua nahin hoga tere khayal ka baadal baras gaya tha wahan so jism-o-jaan ka sahra tapa nahin hoga use yaqin hai kitna ki us ke jaane se koi bhi shakhs akela hua nahin hoga ye ho bhi sakta hai duniya ka koi malik ho magar ye tai hai kitabi khuda nahin hoga jo us ko qatl kiya us ke chaarasazon ne 'junun' ke dard ka darman hua nahin hoga